Jharkhand sarkar dwara rajya ke garib aur madhyam vargiya chhatron ko uchh shiksha (Engineering, Medical, Law, MBA wagairah) ke liye financial help dene hetu Guruji Student Credit Card Yojana (GSCCY) chalayi ja rahi hai. Is yojana ke antargat students ko bina kisi guarantee ke 15 lakh rupaye tak ka education loan sirf 4% simple interest par milta hai.